Najd K Fitne Ki Khabar Dena B 45

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 NAJD K FITNE KI KHABAR DENA 🥀*



➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅱 4⃣5⃣

       Mafhume Hadiis...
🔻 Hazrat Abu saeed khudri..radiyallahu anhu..kehte hai k...Huzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...maale ghanimat baant rahe the to...Aik najd k rehne waala ( tamimi ) shakhs aaya jiski...
★ aankhein andar ko dhansi hui...
★ peshaani ubhri hui...
★ daadhi ghani...
★ gaal phule huwe...
★ sar munda huwa tha...
     Usne kaha...Aye Muhammed Allah se daro..to..
 ★ Huzur...sallallahu alayhi wasallam..ne farmaya..Agar mein Allah ki naa farmaani karta hun to Allah ki farmaa bardaari kon karta hai ?...jab k..
 ★ Allah ne muje zamiin waalon k liye amiin ( amaanat daar ) banaya or tum muje amiin nahi maante ?..to.
 ★ Sahaaba mese kisi aik ne usko ( aeteraaz karne waae ko ) qatal karne ki ijaazat maangi..ghaaliban wo..ijazat maangne waale Khaalid bin waliid the..
 ★ Aaqa..alayhissalaam...ne unko rok diya..Jab wo ( najd waala ) chala gaya to ghaib bataane waale Nabi ne farmaya..
 ★ Is shakhs ki nasal se aysi qaum paidaa hogi k wo log Quraan padhenge lekin Quraan un k halaq se niiche nahi utrega..Wo islaam se is tarah nikal jaayenge jayse tiir shikaar se nikal jaata hai..
 ★ Wo but paraston ( murti poojne waalon ) ko chhod kar musalmano ko qatal karenge..Agar mein unko paaun ( milun ) to qaume aad ki tarah unko qatal kar dun.

BUKHAARI SHARIF
ZIYA UL HADIIS
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪Is hadis ki peshin goyi k mutabiq tamimi ki nasal mein Abdul Wah-hab najdi ne naye diin ki buniyaad daali jiski buniyaad par musalmano ko mushrik keh kar unka qatle aam kiya.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*📇 YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ