3 Din Se Zyada Na Chodo B 14

 🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 3 DIN SE ZYADA NA CHODO 🥀*



➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅱 1⃣4⃣

       Mafhume Ahaadiis...
🔻Huzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne irshaad farmaya...
 ★ Kisi musalman ko jaiz nahi k dushmani mein 3 din se zyada kisi musalman ko chod de..agar 3 din guzar jayein to chahiye k apne bhai se milkar salaam kare...
 ★ Agar wo salaam ka jawab dede to is mil jane k sawab dono ko milega..or agar salaam ka jawab na de to..jawab na dene wala gunahgaar hoga or salaam karne wala is gunah se bari ( zimmedar nahi ) hai.

ABU DAAUD SHARIF
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 BADGUMANI-AIB NA DHUNDHO
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻 Aaqa...alayhissalatu wassalaam...ne irshaad farmaya..
 ★ Khud ko bad gumaani se bachao k ye bad tarin jhoot hai..or..
 ★ Na kisi ki kamzoriyan dhundho..or.
 ★ Na logon mein aib nikalo..or..
 ★ Na aik dusre se hasad karo..or..
 ★ Na aik dusre se bughz ( nafrat..adawat ) rakko..or..
 ★ Na aik dusre se be parwah raho..
 ★ Aye Allah k bando bhai bhai ban jaao.

BUKHARI..MUSLIM
ZIYA UL HADIIS
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*📇 YE MSG SAVE KARO-FORWARD KARO*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ